Featured Posts

Friday, May 08, 2009

Bait Baazi

Him:-Khwaab aksar dhundle par jaate hain
Sacchai ke aks mein oojhal ho jaate hain

Her:-Sacchai kya hai...aur kuch nahin
Bas ek khwaab jiski tabeer ho gayi ho

Him:-Har khwaab ki taabeer na ho to accha hai
In aankhon mein aksar bure sapne bhi baste hain

Her:-Sapnon ki duniya mein kho kar kahin aap
Apnon ke ehsaason ki ghaflat na kijiye

Him:-Saamne khade hain jo unse hum puchte hain
Sach ho ya khuli aankhon mein khwaab base hain

Her:-Haqeeqat hain hum....fasaanon mein nahin
Apne se hain hum...begaanon mein nahin


P.S. Concept plagiarized from Kajal:)

Blog Widget by LinkWithin
Digg Google Bookmarks reddit Mixx StumbleUpon Technorati Yahoo! Buzz DesignFloat Delicious BlinkList Furl

24 eulogies: on "Bait Baazi"

Anonymous said...

mohabbat wo kiya kare, samajh aata hai!
par naam hamara badnaam hua, ye ajeeb hai!! :P
*****************
too good Saim.. After mayz, i think you are inspiring a lot of poetry in pretty recently.. :) ufffffff kamaal hai.. :)
*********************
andhero mein na jaane ye kaisi roshni si hai!
jabki wo chirag wahaan bujha bujha sa hai!!

****************

lafzo ki ye be-imaani to dekhiye!
lab hile nahi, par shayari ho gayi!!

****************
i guess i will stop write here!! :) big hug!

Passion to make a Difference..!! said...

high usage of decorative romanticism.. its really tough to express which u have done elegantly.. well done..

Saim said...

@Kajal
Mohabbat ka muqaam kuch is darja bataya aapne
Ke aashiqui mein mubtala hona hi para hamein :D

**************************
am honoured...so much I cannot even express, to think of me inspiring others...wow:)
**************************
Charaaghon mein kahan dam tha in andheron ko mitaane ka
Ye roshni to mere sulagte dil ki badaulat hai

**************************
Shayari labon ki mohtaaj kahan hai
Bas dil-e-khyaal roshan rakhiye

**************************
I hope u nvr stop writing:)
cheers 2 ya:)

Saim said...

@Chriz
it's Hindi n Urdu ka mixture:)
I may do something on the same like in English, so wait for that if u can:)

Anonymous said...

that was ...int ka jawaab patthar se..uff...ek ek teer nishaane pe laga ustaad..maan gaye aapko.. too good!! :D

Saim said...

@Kajal
nopes...it's more like phoolon ka jawab kaliyon se:)
no place for int n patthars in Shayari:D
thnx:)
waise hum bahut pehle hi maan chuke hain aapko:)

Anonymous said...

aashiqui ki uljhanon ko suljhaana hoga bada mushkil !
ulte kadam laut ja aye aashiq, kuchh na hoga haasil !!
__________________________
dil tera sulga hai aye aashiq, shayad koi armaan khaak hone ko hai !
jala jala sa ek aarzoo ek mera bhi hai jo ab shayad raakh hone ko hai !!
______________________________
dil-e-khayal ki bhi daastaan ajeeb hai !
dard se uth ke dard mein hi khaak hota hai!
___________________

i don't know if i am making sense.. but i am having a blast ... :D

Anonymous said...

aashiqui ki uljhanon ko suljhaana hoga bada mushkil !
ulte kadam laut ja aye aashiq, kuchh na hoga haasil !!
__________________________
dil tera sulga hai aye aashiq, shayad koi armaan khaak hone ko hai !
jala jala sa ek aarzoo ek mera bhi hai jo ab shayad raakh hone ko hai !!
______________________________
dil-e-khayal ki bhi daastaan ajeeb hai !
dard se uth ke dard mein hi khaak hota hai!
___________________

i don't know if i am making sense.. but i am having a blast ... :D

Saim said...

@Kajal

Aashiq ke hauslon ka na le imtihaan aye zaalim
Kuch aur na hasil karna hai usse ek zakhm-e-dil ke siva

************************************

Sulagte dil ke angaaron se goonji yeh sada hai
Armaanon ka naseeb hai raakh mein shaamil hona

************************************

Dard se hi dil-e-khyaal ki hayat hai
Jo dard na ho to shayri ki bhi maut hai

************************************

u r making perfect sense:)
sorry for the delay in replying...put it down to my IPL infatuation:D

Share The Grief, Write A Eulogy