Featured Posts

Thursday, July 30, 2009

Zindagi---Kya ho tum




Itna batade mujhe ae zindagi
Ke tu kis shay ka naam hai
Hai tu ek bala jo madhosh karti hai
Ya koi aanchal jo aaghosh mein bharti hai

Kya nasha tera saza ka ek aks hai
Ya khushnami ka tu chahekta raks hai
Kya guzar tera dilkashi ka mausam hai
Ya patjhad ki tu shabnam hai
Khwabon ke haqeeqat ki aarzoo hai
Ya sach se roz marrah ki justajoo hai
Ishq o izzat ki taabeer hai
Ya ranj o nafrat ki tasweer hai
Qehqahon ke tahhaqon ki sada hai
Ya sannaton ki posheeda ada hai
Insaan ke urooj ki zinda misaal hai
Ya kissa aadmiyat ke dhalte zawaal ki hai
In sawaalon mein chupi koi jawab hai
Ya jawabon mein shamil khud ek sawaal




Blog Widget by LinkWithin
Digg Google Bookmarks reddit Mixx StumbleUpon Technorati Yahoo! Buzz DesignFloat Delicious BlinkList Furl

7 eulogies: on "Zindagi---Kya ho tum"

Naina said...

zindagi khaamosh lehro mein behti hui,
saahil se takraati hai!
zindagi to zindagi hai aye musafir,
bus kat jaati hai!!

with loads of best wishes and smiles
Kajal :) :) :)

Mahesh Sindbandge said...

Nice poem..

Zindagi khud ek sawaal hai aur aapka usko sawaal puchna achcha laga..

aasha karta hoon ki aapko aapke sawaalo ke jawaab mil jaye...

You got a nice a blog....maintaining 4 blogs is not a joke after all

Saim said...

@Kaj
zindagi woh leher hai
jise saahil kI talaash hai
badi justajoo se uski aaghosh mein pahunchti hai
phir maujon ko akela dekh unki oor badh jaati hai

P.S. the thought is somewhat inspired from an analogy, the words r mine

Saim said...

@Mahesh
some qstns r best left unanswered...some do not have any answers!!!
welcome to my space...am not regular at the other blogs though am trying to be!!!

Arunima said...

wah wah wah!
Nice poem & it ws tough reading urdu in English.
Bt i mus say u seem 2 b good in it(urdu vocab)
BTW "raks" means kya...maine assume kara hain "part of sumthng"
is dt correct?

Share The Grief, Write A Eulogy